Dil Badi Mushkilon Se Basta Hai

Ashqi Ka Muqaam

مجھ پہ کیوں اسطرح سے ہنستا ہے
دل بڑی مشکلوں سے بستا  ہے

میرے گاؤں کے گھر ہیں سب کچے
ارے  بادل  کہاں برستا  ہے

جو کبھی لوٹ کر نہیں آئے
ان سے ملنے کو دل ترستا ہے

عاشقی کا مقام کیا ہوگا
جہاں الفت کا دام سستا ہے

تیرے جانے کے بعد جانے کیوں
ہر کوئی شخص مجھ پہ ہنستا ہے

میری منزل جسے سمجھ بیٹھے
وہ میری خواہشوں کا رستہ ہے

دوست کہتی ہے اسکو کیوں ماہ رخ
 ... ..جو تجھے ہر قدم پہ ڈستا ہے

Mujh Pe Kiun Is Tarha Se Hansta Hai
Dil Badi Mushkilon Se Basta Hai

Meray Gaao’n K Ghar Hein Sab Kachay
Aray Badal Kahan Barasta Hai

Jo Kabhi Lout Kar Nahi Aaey
Un Se Miloney Ko Dil Tarasta Hai

Aashqi Ka Muqaam Kia Hoga
Jahan ulfat Ka Daam Sasta Hai

Teray Janay K Baad Janay Kiun
Har Koi Shakhs Mujh Pe Hansta Hai

Meri Manzil Jisay Samjh Baithay
Woh Meri Khuwahishon Ka Rasta Hai

Dost Ketay Ho Us Ko Kiun Mahrukh
Jo Tujhe Har Qadam Pe Dasta Hai.....

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It 

Comments