Usay Apne Farda Ki Fikr Thi...



Usay Apne Farda Ki Fikar Thi
Wo Jo Mera Waqif-e-Haal Tha,

Wo Jo Uski Subh-e-Urooj Thi
Wo Mera Wat-E-Zawaal Tha,

Kahan Jao Gay Mujhe Chor Kar
Men Ye Pooch Pooch Kar Thak Gaya,

Wo Jawab Mujh Ko Na De Saka
Wo Tou Khud Sarapa Sawal Tha,

Meri Baat Kese Wo Manta
Mere Dard Kese Wo Janta,

Wo Tou Khud Fana K Safar Men Tha
Usay Rokna Bhi Muhaal Tha,

Dam-E-Wapsi Aray Kia Hua
Na Who Roshni , Na Who Taazgi,

Who Sitara Kese Bikhar Gaya
Wo Apni Misaal Aap Tha,

Who Mila Tou Sadyon Baad Bhi
Mere Lab Pe Koi Gila Na Tha,

Usay Meri Chup Ne Rula Diya
Jisay Ghuftughoo Men Kamal Tha,

Mere Sath Lag K Wo Ro Diya
Mujhe Bus Itna Hi Keh Saka,

Jisay Janta Tha Men Zindagi
    Wo Mera Wehm-o-Khayal Tha…











Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post & Share It.

Comments