Marhalay Shoq K Dushwaar مرحلے شوق کے دُشوار

Marhaley Shoq K Dushwaar


مرحلے شوق کے دُشوار ہُوا کرتے ہیں
سائے بھی راہ کی دیوار ہُوا کرتے ہیں

وہ جو سچ بولتے رہنے کی قسم کھاتے ہیں
وہ عدالت میں گُنہگار ہُوا کرتے ہیں

صرف ہاتھوں کو نہ دیکھو کبھی آنکھیں بھی پڑھو
کچھ سوالی بڑے خود دار ہُوا کرتے ہیں

وہ جو پتھر یونہی رستے میں پڑے رہتے ہیں
اُن کے سینے میں بھی شہکار ہُوا کرتے ہیں

صبح کی پہلی کرن جن کو رُلا دیتی ہے
وہ ستاروں کے عزا دار ہُوا کرتے ہیں

جن کی آنکھوں میں سدا پیاس کے صحرا چمکیں
در حقیقت وہی فنکار ہُوا کرتے ہیں

شرم آتی ہے کہ دُشمن کِسے سمجھیں محسن
دُشمنی کے بھی تو معیار ہُوا کرتے ہیں


Marhalay Shoq K Dushwaar Howa Karte Hain
Saaye Bhi Raah Ki Dewaar Howa Karte Hain


Woh Jo Such Boltay Rehne Ki Qasam Khatay Hain
Woh Adalat Mein Guneh-Gaar Howa Karte Hain


Sirf Haathon Ko Na Dekho Kabhi Aakhen Bhi Parho
Kuch Sawaali Barray Khud-Daar Howa Karte Hain


Woh Jo Pathar Yunhi Rastey Mein Paray Rehtay Hain
Un K Seenay Mein Bhi Shaah-Kaar Howa Karte Hain


Subha Ki Pehli Kiran Jin Ko Rula Deti Hay
Woh Sitaaron K Azadaar Howa Karte Hain


Jin Ki Aankhon Mein Sada Piyar K Sehra Chamkein
Dar Haqiqat Wohi Fankaar Howa Karte Hain


Sharam Aati Hay Dushman Kisay Samjhain Mohsin
Dushmani K Bhi Tou Mayaar Howa Karte Hain …..



 
Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Comments

Post a Comment

Thanks For Nice Comments.