Wo Jo Tere Faqeer Hote Hain


Aadmi Be-Nazeer Hotay

ﻭﮦ ﺟﻮ ﺗﯿﺮﮮ ﻓﻘﯿﺮ ﮨﻮﺗﮯ ﮨﯿﮟ
ﺁﺩﻣﯽ ﺑﮯ ﻧﻈﯿﺮ ﮨﻮﺗﮯ ﮨﯿﮟ

ﺗﯿﺮﯼ ﻣﺤﻔﻞ ﻣﯿﮟ ﺑﯿﭩﮭﻨﮯ ﻭﺍﻟﮯ
ﮐﺘﻨﮯ ﺭﻭﺷﻦ ﺿﻤﯿﺮ ﮨﻮﺗﮯ ﮨﯿﮟ
 
ﭘﮭﻮﻝ ﺩﺍﻣﻦ ﻣﯿﮟ ﭼﻨﺪ ﺭﮐﮫ ﻟﯿﺠﺌﮯ
ﺭﺍﺳﺘﮯ ﻣﯿﮟ ﻓﻘﯿﺮ ﮨﻮﺗﮯ ﮨﯿﮟ

ﺯﻧﺪﮔﯽ ﮐﮯ ﺣﺴﯿﻦ ﺗﺮﮐﺶ ﻣﯿﮟ
ﮐﺘﻨﮯ ﺑﮯ ﺭﺣﻢ ﺗﯿﺮ ﮨﻮﺗﮯ ﮨﯿﮟ

ﻭﮦ ﭘﺮﻧﺪﮮ ﺟﻮ ﺁﻧﮑﮫ ﺭﮐﮭﺘﮯ ﮨﯿﮟ
ﺳﺐ ﺳﮯ ﭘﮩﻠﮯ ﺍﺳﯿﺮ ﮨﻮﺗﮯ ﮨﯿﮟ

ﺩﯾﮑﮭﻨﮯ ﻭﺍﻻ ﺍﮎ ﻧﮩﯿﮟ ﻣﻠﺘﺎ
ﺁﻧﮑﮫ ﻭﺍﻟﮯ ﮐﺜﯿﺮ ﮨﻮﺗﮯ ﮨﯿﮟ

ﺟﻦ ﮐﻮ ﺩﻭﻟﺖ ﺣﻘﯿﺮ ﻟﮕﺘﯽ ﮨﮯ
ﺍُﻑ! ﻭﮦ ﮐﺘﻨﮯ ﺍﻣﯿﺮ ﮨﻮﺗﮯ ﮨﯿﮟ

ﺟﻦ ﮐﻮ ﻗﺪﺭﺕ ﻧﮯ ﺣﺴﻦ ﺑﺨﺸﺎ ﮨﻮ
ﻗﺪﺭﺗﺎً ﮐﭽﮫ ﺷﺮﯾﺮ ﮨﻮﺗﮯ ﮨﯿﮟ

ﮨﮯ ﺧﻮﺷﯽ ﺑﮭﯽ ﻋﺠﯿﺐ ﺷﮯ ﻟﯿﮑﻦ
ﻏﻢ ﺑﮍﮮ ﺩﻟﭙﺬﯾﺮ ﮨﻮﺗﮯ ﮨﯿﮟ

ﺍﮮ ﻋﺪﻡ ﺍﺣﺘﯿﺎﻁ ﻟﻮﮔﻮﮞ ﺳﮯ
ﻟﻮﮒ ﻣﻨﮑﺮ ﻧﮑﯿﺮ ﮨﻮﺗﮯ ﮨﯿﮟ


Wo Jo Tere Faqeer Hote Hain
Aadmi Be-Nazeer Hote Hain

Teri Mehfil Mai Bhetne Wale
Kitne Roshan Zameer Hote Hain

Phool Daman Main Chand Rakh Lijiye
Raaste Main Faqeer Hote Hain

Zindagi K Haseen Turkash Main
Kitne Be-Reham Teer Hote Hain

Wo Parinde Jo Aankh Rkhte Hain
Sab Say Pehlay Aseer Hote Hain

Dekhne Wala Ik Nahi Milta
Aankh Wale Kaseer Hote Hain

Jin Ko Dolat Haqeer Lagti hai
Uff  Wo Kitne Ameer Hote Hain

Jin Ko Qudrat Ne Husn Bakhsha Ho
Qudratan Kuch Shareer Hote Hain

Hai Khushi Bhi Ajeeb Shay Lekin
Gham Barey Dil-Pazeer Hote Hain

Aey "Adam" Ehtiyaat Logon Say
Log Munkar Nakeer Hote Hain






Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It


 

Comments