Har Taraf Insabaat Hai Ay Dil...........


Ghar Mein Raat

ہر  طرف  انبساط ہے اے دل
اور ترے گھر میں رات ہے اے دل

عشق ان ظالموں کی دنیا میں
کتنی مظلوم ذات ہے اے دل

میری حالت کا پوچھنا ہی کیا
سب ترا  التفات ہے  اے  دل

اس طرح آنسوؤں کو ضائع نہ کر
آنسوؤں  میں  حیات  ہے  اے  دل

اور  بیدار  چل  کہ  یہ  دنیا
شاطروں  کی  بساط ہے اے  دل

صرف اُس نے نہیں دیا مجھے سوز
اس  میں تیرا  بھی  ہاتھ ہے اے دل

مُندمل  ہو  نہ  جائے  زخمِ  دروں
یہ  مری  کائنات  ہے  اے  دل

حُسن کا ایک وار سہہ نہ سکا
ڈوب  مرنے کی بات ہے  اے  دل

Har Taraf Insabaat Hai, Ay Dil
Aur Tere Ghar Mein Raat Hai, Ay Dil

Ishq In Zaalimon Ki Dunya Mein
Kitni Mazloom Zaat Hai, Ay Dil

Meri Halat Ka Poochna HE Kia
Sab Tere Iltafaat Hai, Ay Dil

Is Tarha Aansoun Ko Zaya Na Kar
Aansoun Mein Hayaat Hai, Ay Dil

Aur Bedaar Chal K Yeh Dunya
Shaatiron Ki Bisaat Hai, Ay Dil

Sirf Us Ne Nahi Diya Mujhe Soz
Is Mein Tera Bhi Haath Hai, Ay Dil

Mundamil Ho Na Jaey Zakhm-e-Daroon
Yeh Meri Kainaat Hai, Ay Dil

Husn Ka Aik Waar Seh Na Saka
Doob Marne Ki Baat Hai Ay Dil.........


 Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It


Comments

  1. dil,,,ha ka naam jo har kisi ko apna banata ha

    jab apna hi na raha
    to ya dil rota ha ,,,

    pyar may ya ha ek asa naam ,,,jo pyar ka liya , lasakta ha har kisi ka vi jaan ,,,

    i

    ReplyDelete

Post a Comment

Thanks For Nice Comments.