Maqrooz K Bigrrey Huey Halaat Ki Maanind....................

Halaat Ki Maanind

مقروض کہ بگڑے ہوئے حالات کی مانند
مجبور کہ ہونٹوں پہ سوالات کی مانند

دل کا تیری چاہت میں عجب حال ہوا ہے
سیلاب سے برباد مکانات کی مانند

میں ان میں بھٹکے ہوئے جگنو کی طرح ہوں
اس شخص کی آنکھیں ہیں کسی رات کی مانند

دل روز سجاتا ہوں میں دلہن کی طرح سے
غم روز چلے آتے ہیں بارات کی مانند

اب یہ بھی نہیں یاد کہ کیا نام تھا اس کا
جس شخص کو مانگا تھا مناجات کی مانند

کس درجہ مقدس ہے تیرے قرب کی خواہش
معصوم سے بچے کے خیالات کی مانند

اس شخص سے ملنا محسن میرا ممکن ہی نہیں ہے
میں پیاس کا صحرا ہوں وہ برسات کی مانند


Maqrooz K Bigrray Huey Halaat Ki Maanind
Majboor K Honton Par Sawalaat Ki Maanind

Dil Ka Teri Chahat Mein Ajab Haal Hua Hai
Sailaab Se Barbaad, Makanaat Ki Maanind

Mein Un Mein Bhatkey Huey, Jugnu Ki Tarha Hoon
Us Shakhs Ki Aankhein Hein, Kisi Raat Ki Maanind

Dil Roz Sajata Hoon Mein Dulhan Ki Tarha Se
Gham Roz Chalay Aatay Hein Baraat Ki Maanind

Ab Yeh Bhi Nahi Yaad K , Kia Naam Tha Us Ka
Jis Shakhs Ko Manga Tha, Manajaat Ki Maanind

Kis Darja Muqaddas Hai, Tere Qurb Ki Khuwahish
Masoom Se Bachay K, Khayalaat Ki Maanind

Us Shakhs Se Milna Mohsin, Mera Mumkin He Nahi Hai
Mein Piyaas Ka Sehra Hoon, Woh Barsaat Ki Maanind......



Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It


Comments