Mein Uski Aahatein Chun Loon, Mein Usko Bol Kar Dekhon

Dareecha  Khol Kar

میں اس کی آہٹیں چُن لوں، میں اس کو بول کر دیکھوں
گلی میں کون پھرتا ہے دریچہ کھول کر دیکھوں

اور اب یہ سوچتا ہوں کیا تہِ داماں پڑے رہنا
کسی مشعل کی لو ٹھہروں، ہوا میں ڈول کر دیکھوں

یونہی شاید تسلّی ہو مری خستہ مزاجی کی
میں اپنی خاک ہی کوئے ہنر میں رول کر دیکھوں

یہ کیسی بید مجنوں کی تمنّا مجھ میں در آئی
کہ میں بھی خود میں پیدا یہ اَنا کا جھول کر دیکھوں

مرے بھی سر پہ رکھا ہے جنوں اسباب کی صورت
ملے فرصت تو اس گٹھڑی کو میں بھی کھول کر دیکھوں

نہ وہ آوارگی مجھ میں، نہ وہ آشفتگی مجھ میں
میں کس معیار پہ اپنی وفا کو تول کر دیکھوں


Mein Uski Aahatein Chun Loon , Mein Usko Bol Kar Dekhon
Gali Mein Kon Phirta Hai, Dareecha Khol Kar Dekhon

AUr Ab Yeh Sochta Hoon Kia Teh Damaan Parray Rehna
Kisi Mush’al Ki Loo Thehroon, Hawa Mein Dol Kar Dekhon

Yun He Shayad Tasalli Ho, Meri Khasta Mijazi Ki
Mein Apni Khaak He, Ko-e-Namal Mein Rol Kar Dekhon

Yeh Kesi Baid Majnu Ki Tamanna Mujh Mein dar Aaie
K Mein Bhi Khud Mein Paida Yeh , Ana Ka Jhol Kar Dekhon

Mere Bhi Sar Pay rakha Hai, Junoo Asbaab Ki Soorat
Mile Fursat Tou Is Gathrri Ko Mein Bhi Khol Kar Dekhon

Na Woh Awargi Mujh Mein, Na Woh Shuftagi Mujh Mein
Mein Kis Mayaar Pay Apni , Wafa Ko Tol Kar Dekhon,,,.....



Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Comments