Safha-e-Waqt Pay Tehreer Badal Jati Hai...........

Parhta Rehta Hoon


صفحہٴ وقت پہ تحریر بدل جاتی ہے
آیتِ ہجر کی تفسیربدل جاتی ہے

ایسا اک وقت بھی آتا ہے میری نیند پہ جب
خواب سے پہلے ہی تعبیر بدل جاتی ہے

اب تو ہر لمحہ میرا قید میں کٹ جاتا ہے
فرق صرف اتنا ہے زنجیر بدل جاتی ہے

وقت ہر بات کو محفوظ تو کر لیتا ہے
ہاں مگر بات کی تاثیر بدل جاتی ہے

پڑھتا رہتا ہوں میں ہاتھوں کی لکیریں،یُوں بھی
میں یہ سنتا تھا کہ تقدیر بدل جاتی ہے

ایک مدّت سے اسے دیکھ رہا ہوں محسن
چھُونا چاہوں تو وہ تصویر بدل جاتی ہے



Safaha-e-Waqt Pay Tehreer Badal Jati Hai
Ayat-e-Hijr Ki Tafseer Badal Jati Hai

Aisa Ik Waqt Bhi Aata Hai, Meri Neend Pe Jab
Khuwaab Se Pehle He, Taabeer Badal Jati Hai

Ab Tou Har Lamha Mera, Qaid Mein Kut Jata Hai
Farq Sirf Itna Hai , Zanjeer Badal Jati Hai

Waqt Har Baat Ko Mehfooz Tou Kar Leta Hai
Haan Magar Baat Ki , Taaseer Badal Jati Hai

Parhta Rehta Hoon Mein, Hathon Ki Lakeerein Yun Bhi
Mein Yeh Sunta Tha , K Taqdeer Badal Jati Hai

Aik Muddat Se Usay, Dekh Raha Hoon Mohsin
Chhoona Chahoon Tou Woh, Tasveer  Badal Jati Hai..



 Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Comments