Dil-o-Nazar Ki Ebadatein Hon Tou Aansoun Ko Imaam Karna..

Udas Urdu Ghazals

دل ونظر کی عبادتیں ھوں تو  آنسوؤں  کو  امام  کرنا
سمندروں کے سفر میں لازم ھے پانیوں سے کلام کرنا

جو سجدہ گاہیں تلاش کرنے لگے تو عمریں گذار دو گے
خود اپنے سائے کی صف بچھانا وھیں سجود و قیام کرنا

میں کارواں سے بچھڑ کر اندھی مسافتوں کے عذاب میں ھوں
مرا بھی اے ساربان شمس و قمر کوئی انتظام کرنا

جہاں دل میں جو روشنی ھے وہ تیرا حصہ، وہ تیرا قصہ
جو ظلمتیں ھیں ملامتیں ھیں وہ سب کی سب میرے نام کرنا

یہ تازہ لفظوں کے سارے گلدستے سوکھ جائیں گے جب وہ آئے
.........تم ان کی آمد پہ احتیاطا کچھ اور بھی انتظام کرنا



DIl-o-Nazar Ki Ibadatein Hon Tou Aansoun Ko Imaam Karna
Samandaron K Safar Pay Lazim Hai Paniyon Se Kalaam Karna

Jo Sajda Gaahein Talaash Karne Lagay Tou Umrein Guzaar Do Gay
Khud Apne Saaey Ki Saf Bichana Waheen Sajood-o-Qayaam Karna

Mein Kaarwan Se Bichar Kar Andhi Musafaton K Azaab Mein Hon
Mera Bhi Ay  Saarban-e-Shams-o-Qamar Koi  Intazaam  Karna

Jahan Dil Mein Jo Roshni Hai Woh Tera Hissa, Woho Tera Qissa
Jo Zulmatein Hein, Malamatein Hein Woho Sab Ki Sab Mere Naam Karna

Yeh Taza Lafzon K Sarey Guldastay Sookh Jaen Gay Jab Woh Aaey
Tum Unki Aamad Pay Ehtiyatan Kuch Aur Bhi Intazaam Karna……..


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It


Comments