Ghar Ki Dehleez Se Bazaar Mein Mat Aajana...

Bazaar Mein Mat

گھر
 کی دہلیز سے بازار میں مت آ جانا
تم کسی چشم خریدار میں مت آ جانا

خاک اُڑانا انہی گلیوں میں بھلا لگتا ہے
چلتے پھرتے کسی دربار میں مت آ جانا

یونہی خوشبو کی طرح پھیلتے رہنا ہر سو
تم کسی دام طلبگار میں مت آ جانا

دور ساحل پہ کھڑے رہ کے تماشا کرنا
کسی امید کے منجدھار میں مت آ جانا

اچھے لگتے ہو کہ خود سر نہیں، خود دار ہو تم
ہاں سمٹ کے بت پندار میں مت آ جانا

چاند کہتا ہوں تو مطلب نہ غلط لینا تم
....رات کو روزن دیوار میں مت آ جانا



Ghar Ki Dehleez Se Bazaar Mein Mat Aajana
Tum Kisi Chashm-e-Kharidaar Mein Mat Aajana

Khaak Urrana Inhe Galyon Mein Bhala Lagta Hai
Chaltey Phirtey Kisi Darbaar Mein Mat Aajana

Yun He Khushbu Ki Tarha Phailtey Rehna Har Su
Tum Kisi Daam-e-Talabghaar Mein Mat Aajana

Door Sahil Pay Kharay reh Kar Tamasha Karna
Kisi Ummeed K Manjdhaar Mein Mat Aajana

Achay Lagte Ho Khudsar Nahi Khuddaar Ho Tum
Haan Simat Kar But-e-Pandaar Mein Mat Aajana

Chaand Kehta Hoon Tou Matlab Na Galat Lena Tum
Raat Ko Rozan-e-Diwaar Mein Mat Aajana.......


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Comments