Mohabbat Mein Galat Fehmi Agar Ilzaam Tak Pohnchay...

jab Ilhaam Tak

محبت  میں غلط فہمی  اگر  الزام  تک  پہنچے
کسے معلوم کس کا نام کس کے نام تک پہنچے

تیری آنکھوں کے ٹھکرائے ہوئے وہ لوگ تھے شاید
جو اک  شرمندگی  ہونٹوں  پہ  لیکر جام تک پہنچے

سبھی رستوں پہ تھے شعلہ فشاں حالات کے سُورج
بہت مشکل سے ہم اُن گیسؤوں کی شام تک پہنچے

کسی نے بھی نہ اپنی دھڑکنوں میں دی جگہ جن کو
وہ  سارے  ولولے  میرے  دلٍ ناکام  تک  پہنچے

سجا کر آئے جب سونے کا چشمہ اپنی آنکھوں پر
نظر ہم  مفلسوں  کی  تب کہاں اُس بام تک پہنچے

قتی ل آئینہ  بن  جاؤ  زمانے میں محبت کا
...اگر تم چاہتے ہو شاعری الھام تک پہنچے


Mohabbat Mein Galat Fehmi Agar Ilzaam Tak Pohnchay
Kisay Maloom Kis Ka Naam , Kis K Naam Tak Pohnchay

Teri Aankhon K Thukraey Huey Woh Log Thay Shayad
Jo Ik Sharmindagi Honton Pay Lay Kar Jaam Tak Pohnchay

Sabhi Raston Pay Thay Shola Fishaan Halaat K Sooraj
Bohat Mushkil Se Hum Un Gaisoun Ki Shaam Tak Pohnchay

Kisi Ne Bhi Na Apni Dharkano Mein Di Jagah Jin Ko
Woh Saray Walwalay Mere Dil-e-Nakaam Tak Pohnchay

Saja Kar Aaey Jab Sonay Ka Chashma Apni Aankhon Par
Nazar Hum Muflison Ki Tab Kahan Us Baam Tak Pohnchay

Qateel Aaeina Ban Jao Zamane Mein Mohabbat Ka
Agar Tum Chahtay Ho Shyri Ilhaam Tak Pohnchay..


 Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It
  

Comments