Tere Galay Mein Jo Baahon Ko Daal Rakhte Hein

Baahon Ko Daal

تیرے
 گلے میں جو بانہوں کو ڈال رکھتے ہیں
تجھے منانے کا کیسا کمال رکھتے ہیں

تجھے خبر ہے تجھے سوچنے کی خاطر ہم
بہت سے کام مقدر پہ ٹال رکھتے ہیں

کوئی بھی فیصلہ ہم سوچ کر نہیں کرتے
تمہارے نام کا سکہ اچھال رکھتے ہیں

تمھارے بعد یہ عادت سی ہو گئی اپنی
بکھرے سوکھے پتے سنبھال رکھتے ہیں

خوشی سی ملتی ہے خود کو اذیتیں دےکر
سو جان بوجھ کردل کو نڈھال رکھتے ہیں

کبھی کبھی وہ مجھے ہنس کہ دیکھ لیتے ہیں
کبھی کبھی میرا بے حد خیال رکھتے ہیں

تمہارے ہجر میں یہ حال ہو گیا اپنا
کسی کا خط ہو اسے بھی سنبھال رکھتے ہیں

خوشی ملے تو تیرے بعد خوش نہیں ہوتے
ہم اپنی آنکھ میں ہر دم ملال رکھتے ہیں

زمانے بھر سے چھپا کر وہ اپنے آنچل میں
میرے وجود کے ٹکڑے سنبھال رکھتے ہیں

کچھ اس لئے بھی تو بے حال ہو گئے ہم لوگ
تمہاری یاد کا بے حد خیال رکھتے ہیں

Tere Galay Mein Jo Baahon Ko Daal Rakhte Hein
Tujhe Mananay Ka Kesa  Kamaal Rakhte Hein

Tujhe Khabar Hai Tujhe Sochne KI Khaatir Hum
Bohat Se Kaam Muqaddar Pay Taal Rakhte Hein

Koi  Bhi  Faisla  Hum  Soch  Kar  Nahi  Karte
Tumhare Naam Ka Sikkah Uchaal Rakhte Hein

Tumhare Baad Yeh  Aadat  Si  Hogaie  Apni
Bikhre Sookhay Pattay Sanbhaal Rakhte Hein

Khushi Si Milti Hai Khud Ko Aziyatein Day Kar
So Jaan Boojh Kar Dil Ko Nidhaal Rakhte Hein

Kabhi Kabhi Woh Mujhe Hans K Dekh Laitey Hein
Kabhi  Kabhi  Mera  Be-Had Kahyaal  Rakhte Hein

Tumhare Hijr Mein, Yeh Haal Ho Gaya Apna
Kisi Ka Khat Ho Usay Bhi Sanbhaal Rakhte Hein

Khushi Milay Tou Tere Baad Khush Nahi Hotey
Hum Apni Aankh Mein Har Dum Malaal Rakhte Hein

Zamane Bhar Se Chupa Kar Woh Apne Aanchal Mein
Mere Wujood K Tukray  Sanbhaal Rakhte Hein

Kuch Is Liyeh Bhi Tou Be-Haal Ho Gaey Hum Log
Tumhari Yaad Ka Be-Had Khayaal Rakhte Hein…


 Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Comments