Usko Fursat He Nahi Waqt Nikaley Mohsin...

Waqt Nikaly Mohsin

اُس کو فرصت ہی نہیں وقت نکالے مُحسن
ایسے ہوتے ہیں بَھلا چاہنے والے محسن؟؟؟

یاد کے دَشت میں پھرتا ہوں میں ننگے پاؤں
دیکھ تو آ کے کبھی پاؤں کے چھالے مُحسن

کھو گئی صُبح کی امید اور اب لگتا ہے
ہم نہیں ہوں گے کہ جب ہوں گے اُجالے مُحسن

خاک کو بھی نہیں پنہچے گا کوئ کربل  کی
اب بھلے ایک جہاں خون میں نہالے محسن

حاکمِ وقت کہاں،میں کہاں، عدل کہاں
کِیوں نہ خَلقت کی زبان پر لگائیں تالے مُحسن

وہ جو اِک شخص متاعِ دل و جان تھا، نہ رہا
اب بھلا کون میرے درد سنبھالے مُحسن

Usko Fursat Hi Nahi Waqt Nikaley  Mohsin,
Aise Hote Hain Bhala Chahne Waley  Mohsin

Yaad K Dasht Mein Phirta Hoon Main Nangey  Paaon
Daikh Tou Aa K Kabhi Paaon K Chahley  Mohsin

Kho Gaie  Subha  Ki Ummeed Aur Ab Lagta Hai,
Hum Nahi Hon Gay K Jab Hon Gay Ujaley  Mohsin

Khaak Ko Bhi Nahi Ponhchey  Ga Koi Karbal Ki
Ab Bhaley  Aik Jahan Khoon Mein,  Naha Lay Mohsin

Main Kahan , Hakim-e-Waqt  Kahan , Adal Kahan
Kiun  Na Khalqat Ki Zubaan Par Lagain Taaley Mohsin

Wo Jo Ik Shakhs Mata-e-Dil-o-Jaan Tha Na Raha
Ab Bhala Kaun Mere Dard  Sambhaley  Mohsin....


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It 


Comments