Hasrat-e-Deed Mein Guzraan Hein Zamaney Kab Say .. ..

Ashkon Ka Azaab

ﺣﺴﺮﺕِ ﺩﯾﺪ ﻣﯿﮟ ﮔﺰﺭﺍﮞ ﮨﯿﮟ ﺯﻣﺎﻧﮯﮐﺐ ﺳﮯ
ﺩﺷﺖِ ﺍُﻣّﯿﺪ ﻣﯿﮟ ﮔﺮﺩﺍﮞ ﮨﯿﮟ ﺩﻭﺍﻧﮯ ﮐﺐ ﺳﮯ

ﺩﯾﺮ ﺳﮯ ﺁﻧﮑﮫ ﭘﮧ ﺍُﺗﺮﺍ ﻧﮩﯿﮟ ﺍﺷﮑﻮﮞ ﮐﺎﻋﺬﺍﺏ
ﺍﭘﻨﮯ ﺫﻣّﮯ ﮨﮯ ﺗﺮﺍ ﻗﺮﺽ ﻧﮧ ﺟﺎﻧﮯﮐﺐ ﺳﮯ
 
ﮐﺲ ﻃﺮﺡ ﭘﺎﮎ ﮨﻮ ﺑﮯ ﺁﺭﺯﻭ ﻟﻤﺤﻮﮞ ﮐﺎﺣﺴﺎﺏ
ﺩﺭﺩ ﺁﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﺩﺭﺑﺎﺭ ﺳﺠﺎﻧﮯ ﮐﺐ ﺳﮯ

ﺳﺮ ﮐﺮﻭ ﺳﺎﺯ ﮐﮧ ﭼﮭﯿﮍﯾﮟ ﮐﻮﺋﯽ ﺩﻝ ﺳﻮﺯ ﻏﺰﻝ
“ﮈﮬﻮﻧﮉﺗﺎ ﮨﮯ ﺩﻝِ ﺷﻮﺭﯾﺪﮦ ﺑﮩﺎﻧﮯ ﮐﺐ ﺳﮯ”

ﭘُﺮ ﮐﺮﻭ ﺟﺎﻡ ﮐﮧ ﺷﺎﯾﺪ ﮨﻮ ﺍِﺳﯽ ﻟﺤﻈﮧ ﺭﻭﺍﮞ
ﺭﻭﮎ ﺭﮐﮭﺎ ﮨﮯ ﺟﻮ ﺍﮎ ﺗﯿﺮ ﻗﻀﺎ ﻧﮯﮐﺐ ﺳﮯ

ﻓﯿﺾؔ ﭘﮭﺮ ﮐﺐ ﮐﺴﯽ ﻣﻘﺘﻞ ﻣﯿﮟ ﮐﺮﯾﮟﮔﮯ ﺁﺑﺎﺩ
 .. .. ﻟﺐ ﭘﮧ ﻭﯾﺮﺍﮞ ﮨﯿﮟ ﺷﮩﯿﺪﻭﮞ ﮐﮯ ﻓﺴﺎﻧﮯﮐﺐ ﺳﮯ

Hasrat-e-Deed Mein Guzraan Hain Zamaney Kab Say
Dasht-e-Ummeed Mein Gardaan Hain Dawaney Kab Say

Dair Say Aankh Pay Utra Nahi Askhon Ka Azaab
Apne Zimmey Hai Tera Farz Na-Janey Kab Say

Kis Tarah Paak Ho Be-Arzu Lamhon Ka Hisaab
Dard Aaya Nahi Darbaar Sajanaey Kab Say

Sar Karo Saaz K Cherrein Koi Dil Sooz Ghazal
Dhoondta Hai Dil-e-Shoreeda Bahaney Kab Say

Pur Karo Jaam K Shayed Ho Isi Lehza Rawaan
Rok Rakha Hai Jo Ik Teer Kazaa Ne Kab Say

Faiz Phir Kab Kisi Maqtal Mein Karain Gay Aabaad
Lab Pay Veeran Hain Shaheedon K Fasaney Kab Say .. ..



Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It     

Comments

Post a Comment

Thanks For Nice Comments.