Kis Qadar Zulm Dhaya Kartey Ho .. ..

Yaad Aaya Karte

کس قدر ظلم ڈھایا کرتے ہو
یہ جو تم بھول جایا کرتے ہو

کس کا اب ہاتھ رکھ کے سینے پر
دل کی دھڑکن سنایا کرتے ہو

ہم جہاں چائے پینے جاتے تھے
کیا وہاں اب بھی آیا کرتے ہو

کون ہے اب کے جس کے چہرے پر
اپنی پلکوں کا سایہ کرتے ہو

کیوں میرے دل میں رکھ نہیں دیتے
کس لیے غم اٹھایا کرتے ہو

فون پر گیت جو سناتے تھے
اب وہ کس کو سنایا کرتے ہو

آخری خط میں اس نے لکھا تھا
.. .. تم مجھے یاد آیا کرتے ہو


Kiss Qadar Zulm Dhaya Karte Ho
Yeh Jo Tum Bhool Jaya Karte Ho

Kiss Ka Ab Haath Rakh Kar Seeney Par
Dil Ki Dharkan Sunaya Karte Ho

Hum Jahaan Chaye Peenay Jatey Thay
Kiya Wahaan Ab Bhi Aaya Karte Ho

Kon Hai Ab K Jis K Chehre Par
Apni Palkun Ka Saaya Karte Ho

Kiun Mere Dil Mein Rakh Nahi Detay
Kis Liyeh Gham Uthaya Karte Ho

Fone Par Geet Jo Sunate Thay 
Ab Woh Kis Ko Sunaya Karte Ho

Aakhri Khat Mein Us Ne Likha Tha
Tum Mujhe Yaad Aaya Karte Ho .. ..


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It  
   

Comments