Koi Hijr Hai Na Visaal Hai .. ..

Na Visaal hAI

کوئی ہجر ہے نہ وصال ہے
سبھی خواہشوں کا یہ جال ہے

دلِ غم زدہ کا یہ حال ہے
سرِ شام سے ہی نڈھال ہے

مری آ نکھ میں جو ٹھہر گیا
تری فرقتوں کا ملال ہے

مرا ہو کے بھی نہ وہ ہو سکا
یہ عجیب صورتحال ہے

مجھے آپ نے بھی برا کہا
مجھے ہے تو بس یہ ملال ہے

تمہیں صرف اوروں کی فکر ہے
کہ مرا بھی کوئی خیال ہے

تجھے کیوں نہ میری خبر ہوئی
مرا تجھ سے بس یہ سوال ہے

مرا درد حا صلِ عشق ہے
 .. ..کہیں اور ایسی مثال ہے

Koi Hijr Hai Na Visaal Hai
Sabhi Khuwahisho'n Ka Yeh Jaal Hai

Dil-e-Ghamzada Ka Yeh Haal Hai
Sar-e-Shaam Se He Nidhaal Hai

Meri Aankh Mein Jo Thehar Gaya
Teri Furqato'n Ka Malaal Hai

Mera Ho K Bhi Na Woh Ho Saka
Yeh Ajeeb Soorat-e-Haal Hai

Mujhe Apne Bhi Bura Kaha
Mujhe Hai Tou Bus Yeh Malaal Hai

Tumeh Sirf Auro'n Ki Fikar Hai
Keh Mera Bhi Koi Khayaal Hai

Tujhe Kiun Na Meri Khabar Hui
Mera Tujh Se Bus Yeh Sawaal Hai

Mera Dard Hasil-e-Ishq Hai
Kaheen Aur Aisi Misaal Hai .. ..




Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Comments