Pairo'n Mein Apne Haal Ki Zanjeer Dekh Kar ..

Shehteer Dkh Kar

پیروں میں اپنے حال کی زنجیر دیکھ کر
لوَٹ آئے گھر کا ٹوٹتا شہتیر دیکھ کر

ہم سر نگوں رہے کبھی ایوانِ وقت میں
سینہ سِپر ہوئے کبھی شمشیر دیکھ کر

لگتی ہے بے امان سی یہ سلطنت سبھی
گھر کی فضا میں زہر بجھے تیر دیکھ کر

خیمے لگائے بیٹھے رہے ساحلوں پہ ہم
پانی میں ڈوبتی ہوئی تصویر دیکھ کر

روشنائی کااحساس ہو رہا ہے تری
ہر ایک لوحِ فکر پہ تحریر دیکھ کر

پردوں کے باوجود عیاں ہے جہاں میں کون
کوئی بتائے حسن کی توقیر دیکھ کر

کیا سر اُٹھاتی لہر سی اُٹھتی ہے ذہن میں
اُس کے اور اپنے ربط کی زنجیر دیکھ کر

اک عمر آنسوئوں میں تجھے ڈھونڈتی رہی
یہ آنکھ خواب خواب کی تعبیر دیکھ کر

فرہاد اُس کا دھیان ہوا جائے تیز تر
 .. .. .اِس کائناتِ حسن کی تعمیر دیکھ کر


Pairo'n Mein Apne Haal Ki Zanjeer Dekh Kar
Lout Aaey Chat Ka Toot’ta Shehteer Dekh Kar

Hum Sar-Nago’n Rahey Kabhi Aiwan-e-Waqt Mein
Seena Sapar Huey Kabhi Shamsheer Dekh Kar

Lagti Hai Be-Amaan Si Yeh Saltanat Sabhi
Ghar Ki Fiza Mein Zehar Bujhe Teer Dekh Kar

Khaimay Lagaey Baithay Rahey Saahilo’n Pe Hum
Paani Mein Doobti Hui Tasveer Dekh Kar

Roshnaie Ka Ehsaas Ho Raha Hai Teri
Har Aik Loh-e-Fikar Pe Tehreer Dekh Kar

Pardo’n K Baawajood Ayaa’n Hai Jahan Mein Kon
Koi Bataey Husan Ki Touqeer Dekh Kar

Kia Sar Uthati Lehar Bhi Uthti Hai Zehan Mein
Us K Aur Apne Rabt Ki Zanjeer Dekh Kar

Ik Umar Aansou’n Mein Tujhe Dhoondti Rahi
Yeh Aankh Khuwab Khuwab Ki Taabeer Dekh Kar

Farhaad Uska Dhiyaan Hua Jaey Taiz Tar
Is Kaainaat-e-Husn Ki Tameer Dekh Kar … … ..


Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Comments