Badan Ko Hum Ne Pehan Kar Purana Kar Diya Hai... ....


Isi Quba Mein


اسی قبا میں بسر اک زمانہ کر دیا کر دیا ہے
بدن کو ہم نے پہن کر پرانا کر دیا ہے

یہ دشت دل ہے یہاں کوئی بھی نہیں آتا
سو ہم نے دفن یہیں سب خزانہ کر دیا ہے

افق کے پار یہ سورج سے جاملے شاید
چراغ آب رواں پر روانہ کر دیا ہے

جو ایک عمر سے اک دوسرے کی زد پر تھے
انہیں مفاد نے شانہ بشانہ کر دیا ہے

جہاں رزق کے ان پست قامتوں نے میاں
مزاج عشق کو بھی عامیانہ کر دیا ہے

شکار اور شکاری بدل گئے ہیں سعود
….. سبگتگن کو ہرن نے نشانہ کر دیا ہے




Isi Quba Mein Basar Ik Zamana Kar Diya Hai
Badan Ko Hum Ne Pehan Kar Purana Kar Diya Hai

Yeh Dasht-e-Dil Hai Yahan Koi Bhi Nahi Aata
So Hum Ne Dafan Yaheen Sab Khazana Kar Diya Hai

Ufaq K Paar Yeh Sooraj Se Jaa Milay Shayad
Charaag Aab-e-Rawaa’n Pay Rawana Kar Diya Hai

Jo AiIk Umar Se Ik Doosray Ki Zad Par Thay
In He Mufaad Ne Shana Bashana Kar Diya Hai

Jahan Rizq K In Pust Qaamto’n Ne Miyaa’n
Mijaz-e-Ishq Ko Bhi Aamiyana Kar Diya Hai

Shikaar Aur Shikari Badal Gaey Hein Saood
Subagtageen Ko Hiran Ne Nishana Kar Diya Hai.....

Please Do Click +1 Button If You Liked The Post  Then Share It

Comments