Khirrki, Chand, Kitab Aur Main .... ....


Ik Khuwab Aur

کھڑکی، چاند، کتاب اور میں
مدت سے اک باب اور میں

شب بھر کھیلیں آپس میں
دو آنکھیں، اک خواب اور میں

موج اور کشتی ساحل پر
دریا میں گرداب اور میں

شام ، اداسی ، خاموشی
کچھ کنکر، تالاب اور میں

ہر شب پکڑے جاتے ہیں
 ... ...گہری نیند ، کتاب اور میں

Khirrki, Chand, Kitab Aur Main
Muddat Say Ik Baab Aur Main

Shab Bhar Khailen Apas Mein
Do Aankhain Ik Khuwab Aur Main

Mouj Aur Kashti Sahil Per
Dariya Mein Gardaab Aur Main

Sham , Udaasi , Khamoshi
Kuch Kankar ,  Talaab Aur Main

Har Shab Pakrrey Jatay Hein
Gehri Neend , Kitab Aur Main.. ...

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Comments