Tera Khayal Tha Jis Ko Faqat Sada Di Hai

Sahib Poetry Collection

دھنک نچوڑ کے خورشید میں ملا دی ہے
برہنہ دھوپ کو یوں اک نئ قبا دی ہے

وە خوش فریب مری عمر روز چاٹتا ہے
اُسی نے آتشِ پنہاں کو پھر ہوا دی ہے

بس ایک خواب لیۓ دربدر پھرا برسوں
بس ایک خواب کے نشے میں سب بِتا دی ہے

وە جس سے جیب و گریباں کی ساری رونق تھی
وە ریزگاری کہیں راە میں گنوا دی ہے

کوئ سفر ہے نہ رستہ نہ کوئ منزل ہے
فصیل کس نے مرے گرد یہ اُٹھا دی ہے

جو میرے ہاتھ نہ آیا کبھی،اُسی کیلۓ
درونِ شہرِ ہوا زندگی بنا دی ہے

یہ کوئ رات نہیں ہے نہ یہ اندھیرا ہے
بس ایک چادرِغم دشت میں بچھا دی ہے

ہمارے سامنے محبوب زندگی کب تھی
 .....ترا خیال تھا جس کو فقط صدا دی ہے

Dhanak Nichorr K Khursheed Mein Mila Di Hai
Barhana Dhoop Ko Yun Ik Nai Qaba Di Hai

Woh Khush Faraib Meri Umar Roz Chaat'ta Hai
Usi Ne Aatish-E-Pinhaan Ko Phir Hawa Di Hai

Bus Ik Khuwab Liye Darbadar Phira Barson
Bus Aik Khuwab K Nashey Mein Sab Bita Di Hai

Woh Jis Se Jaib-O-Garaibaan Ki Sari Ronaq Thi
Woh Raigaari Kaheen Raah Mein Ganwadi Hai

Koi Safar Hai Na Rasta Na Koi Manzil Hai
Faseel Kis Ne Merey Gird Yeh Utha Di Hai

Jo Merey Hath Na Aaya Kabhi, Usi K Liye
Daron-E-Shehr-E-Hawa Zindagi Bana Di Hai

Yeh Koi Raat Nahi Hai Na Yeh Andhera Hai
Bus Aik Chadar-E-Gham Dasht Mein Bicha Di Hai

Hamarey Samne Mehboob Zindagi Kab Thi
Tera Khayal Tha Jis Ko Faqat Sada Di Hai ........ .

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Comments