Kahan Hai Ab Tumhari Woh Mohabbat Itney Saalon Ki

Sad Urdu Ghazals

وہی درپیش ہے پھر زندگی خوابوں خیالوں کی
کہاں ہے اب تمہاری وہ محبت اتنے سالوں کی

اگر میرے مقدر میں اندھیرا ہی اندھیرا تھا
کہانی کیوں سنائ تھی مجھے تم نے اجالوں کی

بڑا ہے فرق دونوں میں، مگر دلچسپ ہیں دونوں
تیری دنیا جوابوں کی، میری دنیا سوالوں کی

تمھیں جب سے میں لکھتا ہوں،تمھیں جب سے میں پڑھتا ہوں
ضرورت ہی نہیں پڑتی کتابوں کے حوالوں کی

تعلق جوڑنا اور توڑنا تم سے کوئ سیکھے
کہاں سے آگئ تم کو مہارت ایسی چالوں کی

شگفتہ دل کو رکھا ہے فقط اس واسطے ہم نے
 ... ضرورت پھر نہ پڑ جاۓ تمھیں میری مثالوں کی


Wohi Darpaish He Phir Zindagi Khwabon Khayalon Ki
Kahan Hai Ab Tumhari Woh Mohabbat Itney Saalon Ki

Agar Merey Muqaddar Men Andhera He Andhera Tha
Kahani Kiun Sunaai Thi Mujhe Tum Ne Ujaalon Ki

Bara Hai Farq Dono Mein, Magar Dil-chasp Hein Dono
Teri Dunya Jawabon Ki Meri Dunya Sawaalon Ki

Tumhe Jabse Mein Likhta Hoon Tumhe Jabse Mein Parhta Hoon
Zaroorat He Nahi  Parti  Kitaabon K Hawaalon Ki

Ta'alluq Jorna Aur Torna Tum Se Koi Seekhay
Kahan Se Aa Gai Tum Ko Muhaarat Aisi Chaalon Ki

Shagufta Dil Ko Rakha Hai Faqat Is Waastey Hum Ne
Zaroorat Phir Na Parr Jaey Tumhen Meri Misaalon Ki ...

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It 

Comments