Tujhe Kho Kar Mohabbat Ko Ziyada Kar Liya Mein Ne

Mohabbat Urdu Poetry

تجھے کھو کر محبت کو زیادہ کر لیا میں نے
یہ کس حیرت میں آئینہ کشادہ کر لیا میں نے

مجھے پیچیدہ جذبوں کی کہانی نظم کرنی تھی
سو جتنا ہو سکا اسلوب سادہ کر لیا میں نے

محبت کا سنا تھا ، ذات کی تکمیل کرتی ہے
مگر اس آرزو میں خود کو آدھا کر لیا میں نے

شکستِ خواب پر ہی خواب کی بنیاد رکھنا تھی
در ِ امکان پھر سے ایستادہ کر لیا میں نے

نئی رت میں محبت کا اعادہ چاہتا تھا وہ
پرانے تجربے سے استفادہ کر لیا میں نے

سر ِ ساحل مجھے پیچھے سے اب آواز مت دینا
یہاں سے پار جانے کا ارادہ کر لیا میں نے

نہ راس آئی مجھے جب یہ تری دنیائے ہاؤ ہو
 ... ہوائے بے دلی ہی کو لبادہ کر لیا میں نے


Tujhe Kho Kar Mohabbat Ko Ziyada Kar Liya Mein Ne
Yeh Kis Hairat Mein Aaiena Kushada'h Kar Liya Mein Ne

Mujhe Paicheeda'h Jazbon Ki Kahani Nasb Karni Thi
So Jitna Ho Saka  Asloob Sada'h Kar Liya Mein Ne

Mohabbat Ka Suna Tha , Zaat Ki Takmeel Karti Hai
Magar Is Aarzoo Mein Khud Ko Aadha'h Kar Liya Mein Ne

Shikasht-E-Khuwab Par He Khuwab Ki Bunyad Rakhna Thi
Dar-E-Imkaan Phir Se Eisteaad'ah Kar Liya Mein Ne

Nai Rut Mein Mohabbat Ka A'aada'h Chahta Tha Woh
Purane Tajrubay Se Istafada'h Kar Liya Mein Ne

Sar-E-Sahil Mujhe Peechay Se Ab Aawaz Mat Dena
Yahan Se Paar Janey Ka Irada'h Kar Liya Mein Ne

Na Raas Mujhe Jab Yeh Teri Dunya-E-How Hoo
Hawa-E-Be-Dili Ko He Libada'h Kar Liya Mein Ne ....

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Comments