Yeh Zindagi Hai Hamari Sanbhaal Kar Rakhna

Best Urdu Ghazlein

سخن میں سہل نہیں جاں نکال کر رکھنا
یہ زندگی  ہے  ہماری  سنبھال کر رکھنا

کھلا کہ عشق نہیں ہے کچھ اور اس کے سوا
رضائے یار  جو  ہو  اپنا  حال  کر  رکھنا

اُسی کا کام ہے فرشِ زمیں بچھا دینا
اُسی  کا  کام ستارے اچھال کر رکھنا

اُسی کا کام ہے اس دکھ بھرے زمانے میں
محبتوں سے مجھے مالا مال کر رکھنا

بس  ایک  کیفیتِ دل  میں  بولتے  رہنا
بس ایک نشّے میں خود کو نہال کر رکھنا

بس ایک قامتِ زیبا کے خواب میں رہنا
بس ایک  شخص  کو حدِّ مثال کر رکھنا

گزرنا حسن کی نظّارگی سے پل بھر کو
پھر اس کو  ذائقۂ  لازوال  کر  رکھنا

کسی کے بس میں نہیں تھا، کسی کے بس میں نہیں
 ......... بلندیوں  کو  سدا  پائمال  کر  رکھنا
  


Sukhan Mein Sehal Nahi Jaan Nikaal Kar Rakhna
Yeh Zindagi Hai Hamari Sanbhaal Kar Rakhna

Khula Ke'h Ishq Nahi Hai Kuch Aur Iss K Siwa
Raza-E-Yaar Jo Ho  Apna Haal Kar Rakhna

Usi Ka Kaam Hai Farsh-E-Zameen Bichha Deina
Usi Ka Kaam Sitarey Uchhaal Kar Rakhna

Usi Ka Kaam Hai Is Dukh Bharay Zamaney Mein
Mohabbaton Se Mujhe Mala Maal Kar Rakhna

Bus Aik Kaifiyat-E-Dil Mein Boltey Rehna
Bus Aik Nashay Mein Khud Ko Nehaal Kar Rakhna

Bus Aik Qamat-E-Zaiba K Khuwaab Mein Rehna
Bus Aik Shkhs Ko Hadd-E-Misaal Kar Rakhna

Guzarna Husn Ki Nazaargi Se Pal Bhar Ko
Phir Us Ko Zaiqa-E-Laa Zawaal Kar Rakhna

Kisi K Bus Mein Nahi Tha, Kisi K Bus Mein Nahi
Bulandiyon Ko Sada Paaimaal Kar Rakhna ..........



Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Comments