Acha Hai Tujhe Khuwaab Dikhai Nahi Daitey

Best Khuwaab Poetry

میری طرح بیتاب دکھائ نہیں دیتے
یاروں کو مرے خواب دکھائ نہیں دیتے

ہْشیار رہو اپنے در و بام سے ہر پل
بربادی کے اسباب دکھائ نہیں دیتے

بہتی ہوئ ہر چیز نظر آتی ہے لیکن
آتے ہوۓ سیلاب دکھائ نہیں دیتے

آواز تو نزدیک سے آتی ہے اذاں کی
اور منبر و محراب دکھائ نہیں دیتے

اچھا ہے مجھے نیند میں چلنے کی ہےعادت
اچھا ہے تجھے خواب دکھائ نہیں دیتے

یہ دور عجب نامہؑ اعمال ہے محسن

...تحریر میں اعراب دکھائ نہیں دیتے

Meri Tarha Betaab Dikhai Nahi Daitey
Yaaron Ko Merey Khuwaab Dikhai Nahi Daitey

Hushyaar Raho Apne Dar-O-Baal Se Har Pal
Barbaadi K A'asbaab Dikhai Nahi Daitey

Behti Hui Har Cheez Nazar Aati Hai Lekin
Aatey Huey Sailaab Dikhai Nahi Daitey

Awaaz Tou Nazdeek Se Aati Hai Azaan Ki
Aur Mumbar-O-Mehraab Dikhai Nahi Daitey

Acha Hai Mujhe Neend Mein Chalney Ki Hai Aadat
Acha Hai Tujhe Khuwaab Dikhai Nahi Daitey

Yeh Dour Ajab Naama-E-Aamaal Hai Mohsin
Tehreer Mein A'araab Dikhai Nahi Daitey........

 Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It


Comments

Post a Comment

Thanks For Nice Comments.