Koi Aandhi Ka Koi Hubs Ka Faryadi Hai

Best Faryaad Poetry

کوئ آندھی کا، کوئ حبس کا فریادی ہے
سانس لینے کی یہاں کس قدر آزادی ہے

یہ تماشا بھی دکھایا بڑے شہروں نے ہمیں
لوگ سمٹے ہوۓ ، پھیلی ہوئ آبادی ہے

جو خدو خال سے انسانوں کو پہچانتے ہیں
ہم نے ان تک تری آواز بھی پہنچادی ہے

اس کا ماتم نہ سہی ذکر تو کر سکتے ہیں
پس ِ دیوار ہمیں اتنی تو آزادی ہے

میں تری مدح تو کر سکتا ہوں،لیکن اس مٰیں
میرے فن ہی کی نہیں ،خلق کی بربادی ہے

مجھ کو یہ فکر ،کہیں تو نہ اکیلا رہ جاۓ
تجھ کو یہ زعم ، زمانہ ترا امدادی ہے

تیرے اور میرے ستارے جو نہیں ملتے ہیں
...تجھ میں اور مجھ میں کوئ فرق تو بنیادی ہے

Koi Aandhi Ka Koi Hubs Ka Faryadi Hai
Saans Leney Ki Yahan Kis Qadar Aazadi Hai

Yeh Tamasha Bhi Dikhya Barrey Shehron Ne Hame
Log Simtay Huey , Phaili Hui Aabaadi Hai

Jo Khad-O-Khaal Se Insano Ko Pehchantey Hein
Hum Ne Un Tak Teri Aawaaz Bhi Pohnchadi Hai

Uska Matam Na Sahi Zikar Tou Kar Saktey Hein
Pas-E-Diwaar Hamein Itni Tou Aazadi Hai

Mein Teri Madah Tou Kar Sakta Hoon, Lekin Is Mein
Merey Fun Ki He Nahi , Khalq Ki Barbaadi Hai

Mujhko Yeh Fikar , Kaheen Tou Na Akaila Reh Jaey
Tujhko Yeh Za'am Zamana Tera Imdaadi Hai

Terey Aur Merey Sitarey Jo Nahi Miltey Hein
Tujh Mein Aur Mujh Mein Koi Farq Tou Bunyadi Hai...


  Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Comments

Post a Comment

Thanks For Nice Comments.