Kiun Itni Lambi Hoti Hai Chaandni Raat Judai Ki

Great Judai Ghazals

ﺗﻨﮑﺎ ﺗﻨﮑﺎ ﮐﺎﻧﭩﮯ ﺗﻮﮌﮮ ﺳﺎﺭﯼ ﺭﺍﺕ ﮐﭩﺎﺋﯽ ﮐﯽ
ﮐﯿﻮﮞ ﺍﺗﻨﯽ ﻟﻤﺒﯽ ﮨﻮ ﺗﯽ ﮨﮯ، ﭼﺎﻧﺪﻧﯽ ﺭﺍﺕ ﺟُﺪﺍﺋﯽ ﮐﯽ

ﻧﯿﻨﺪ ﻣﯿﮟ ﮐﻮﺋﯽ ﺍﭘﻨﮯ ﺁﭖ ﺳﮯ  ﺑﺎﺗﯿﮟ ﮐﺮﺗﺎ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ
ﮐﺎﻝ ﮐﻨﻮﯾﮟ ﻣﯿﮟ ﮔﻮﻧﺠﺘﯽ ﮨﮯ، ﺁﻭﺍﺯ ﮐﺴﯽ ﺳﻮﺩﺍﺋﯽ ﮐﯽ

ﺳﯿﻨﮯ ﻣﯿﮟ ﺩِﻝ ﮐﯽ ﺁﮨﭧ، ﺟﯿﺴﮯ ﮐﻮﺋﯽ ﺟﺎﺳﻮﺱ ﭼﻠﮯ
ﮨﺮ ﺳﺎﺋﮯ ﮐﺎ ﭘﯿﭽﮭﺎ ﮐﺮﻧﺎ  ﻋﺎﺩﺕ ﮨﮯ ﮨﺮ ﺟﺎﺋﯽ ﮐﯽ

ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﺍﻭﺭ ﮐﺎﻧﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺳﻨﺎ ﭨﮯ ﺳﮯ ﺑﮭﺮ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﯿﮟ
...ﮐﯿﺎ ﺗﻢ ﻧﮯ ﺍُﮌﺗﯽ ﺩﯾﮑﮭﯽ ﮨﮯ، ﺭﯾﺖ ﮐﺒﮭﯽ ﺗﻨﮩﺎ ﺋﯽ ﮐﯽ


Tinka Tinka Kaantey Torrey Sari Raat Kataai Ki
Kiun Itni Lambi Hoti Hai , Chaandni Raat Judai Ki

Neend Mein Koi Apne Aap Se Baten Karta Rehta Hai
Kaal Kunwein Mein Goonjti Hai , Aawaaz Kisi Sodaai Ki

Seenay Mein Dil Ki Aahat , Jesey Koi Jasoos Chaley
Har Saaey Ka Peecha Karna Aadat Hai Harjaai Ki

Aankhon Aur Kano Mein Sannatey Se Bhar Jatey Hein
Kia Tum Ne Urrti Daikhi Hai , Rait Kabhi Tanhai Ki...

Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Comments

Post a Comment

Thanks For Nice Comments.