Mein Ussay Apney Sabhi Aasaar De Kar Aagaya

Great Ghazals Collection

تیر ، نیزے ، ڈھال اور تلوار دے کر آگیا
اپنا سب کچھ ہی سپہ سالار دے کر آگیا

ہارنے کے خوف سے یہ فیصلہ کرنا پڑا
جنگ سے پہلے میں سب ہتھیار دے کر آگیا

عین ممکن ہے وہ میرا نام تک رہنے نہ دے
میں اُسے اپنے سبھی آثار دے کر آگیا

وقت نے دہرا دیا قصہ مرے اسلاف کا
اہل مکہ کو میں پھر گھر بار دے کر آگیا

اپنے حصے کی حکومت بھی اُسی کو سونپ دی
 ...میں ندیمؔ اُس کو بھرا دربار دے کر آگیا

Teer, Naizay, Dhaal Aur Talwaar De Kar Aagaya
Apna Sab Kuch He Sipa'h Salaar De Kar Aagaya

Haarney K Khof Se Yeh Faisla Karna Parra
Jung Se Pehle Mein Sab Hathyaar De Kar Aagaya

Ain Mumkin Hai Woh Mera Naam Tak Rehne Na De
Mein Ussay Apney Sabhi Aasaar De Kar Aagaya

Waqt Ne Duhra Diya Qissa Merey Aslaaf Ka
Ehl-E-Makkah Ko Mein Phir Gahr Baar De Kar Aagaya

Apne Hisaay Ki Huqoomat Bhi Ussi Ko Sonp Di
Mein Nadeem Us Ko Bhara Darbaar De Kar Aagaya..



Please Do Click g+1 Button If You Liked The Post  & Share It

Comments

Post a Comment

Thanks For Nice Comments.